Popular Posts

Tuesday, March 3, 2015

Mumbai Ke Driver Dada



raat ko jaagta to hai ye sheher
lekin is jagte se sheher ko hum ghumate hain
apni laal kaali gadhi ko daudane wale
hum  colaba ke driver dada kehlate hain
umr mein thode bade hai na
to sab sadkarke bulate hain
log Mumbai doston ya parivar ke saath dekhne aate hain
parivar to hmara gaon mein hainn
to apni gaadhi ke sang hi chappa chappa ghum aate hain
passenger baithte hain to “on hire” ko neeche ghumate hain
8 baras hogye humein Mumbai aye, aaj bhi roz  naye raste dhunde jaate hain
Mumbai angrezo ki khaas pasand hai
to unse batiyate, thodi si angrezi hum bhi seekh jaate hain
kabhi pati patni aise mod par baith jaate hain
ke unki ranjish ka kaaran kya hai, jaanne ko hi taras jaate hain
kabhi doston ka samooh aata hai to apne gaon ke dost yaad aate hain
Wo laaparwahi ke pal, aish ke kya din the yaad aate hain
kisi lambi sawari mein to humne pyaar panapte bhi dekha hai
business wale baboo log phone par hi lage reh jaate hain
hum kabhi sochte hain ke najaane kitna hi paisa kamate hain
ek baar ek behad khoobsurat ladki hamari gaadi mein aakar baithi
samajh nahi paye
ki unhe dekhe ya gaadi chalayein
zulfon ka kinara unke chehre par aata jaye
hawa aisi thi ki chaha kar bhi wo use peeche na kar paye
humne bhi socha , yahi mauka hai ke hum hero ban jayein..
sheeshe ke niyantran button ko  humne jaise hi dabaya
rear view mirror mein dekh kar, wo muskaye aur sharmaye
chaahe to hum apni kahani sunate jayein
aise hi kisso ko piro kar hmara din banta jaye


No comments:

Post a Comment