train number 786
Gamm mein leen hone ki guzarish jab hui…
To jaane kaise yeh baat mann ko aisi chui ….
Socha ke aaj yeh gustakhi bhi kar hi lein…
Khushi mein maddhosh huin hai har pall…
Aaj gamm ki gaddhi bhi chadd hi lein…
Gamm ki gadhi se nazara bhi ajeeb tha…
Station ka naam ’dukhmayeen naseeb tha’…
Paani ki jagah bikk rha tha ansuon ka katora…
Tabhi hum dekhte hain ki train ka naam hai ‘ 786 dil kora….’
Apne aaspass baithe logon ka jab humne dil tatola…
To bade bhare mann se unmein se ekk bola…
“meri premika ne kiya mere dil ko choor”…
To dusri taraf baithi ladki kehti ”nahin rha mujhme woh noor”
Padhai se pareshan bacha apna basta dikhane lga….
Phir aaya bhikari jiska naa tha koi saga…
Sunkar inhe lga kuch aisa…
Ke mera dukh to hai tinke jaisa…
In dastaon se rubaru hokar sihar utha mera mann
Tabhi maine engine ko marvaya u turn…
Aur chal padhe hum khushiyon ke gagan…
Kankar iss path mein bhi kumm na the…
Par ab rahgeer kahan kumm himmati the…
To antt mein yahin sikhata hai yeh fasana…
Ke rahgeer to sabhi hain…yeh to humne bhi maana…
Lekin raah ki pehchaan karma matt bhul jaana…
Kyunki manzil ko bus unhone hi paaya hai..
Jo girr kar uthe hain…naa ki jinhone sir jhukaya hai…..
No comments:
Post a Comment